Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke Sholay jala ke chal diye jhonkay wafaon ke


Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke
Sholay jala ke chal diye jhonkay wafaon ke

Har ik qadam par talkhii doraa’n ki dhoop thi
They hum bhi us gali mein talabgar chaaon ke

Karte rahe jo chand sitaaron ki rehbri
Kuch log muntazir hain unhi rehnumaaon ke

Har zehen mein parre hain teri zulf ke bhanwar
Har dil ki sarzamee’n mein nishaan tere paaon ke

Be’chaargi zeest ka daaman na bhar saka
Hum ne lutaa diye hain khazaney dua’on ke

Tajdeed-e-zoq Saghir-o-meena ki baat kar
Badle huye rang-e-chaman ki fizaaon ke

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai