Ae mere chahne wale mujhe iss kadar dua na de Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de



Ae mere chahne wale mujhe iss kadar dua na de
Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de

Tu door ho ya paas ho mera ban ke tou dikha
Tera ishq zara se shaks ko aashiq bana na de

Khwaabon mei is kadar na aa ki so bhi na sakun
Yaadon me is taraah na aa ki din bhi na kate

Aaankhon me ashq aaye aur main ro bhi na sakun
Itna mujhe na chaah mujhe aisi dawa na de

Itni wafa ke baad gar chalkein palko ke jaam
Unko bhi na piyun mujhe aisi wafa na de

Apne shahar ki galiyon ko mai chodd hoon chuka
Aisa na ho teri gali tera pata na de

Sab kuch luta ke khush hoon jo pa liya tujhe
Aisa na ho tere dar pe hoon aur tu panaah na de

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo