Bahte daryaa men utar jana tha Khaak the aur bikhar jana tha


Bahte daryaa men utar jana tha
Khaak the aur bikhar jana tha

Us se bichhre to zamaanaa beeta
Ab talak zakhm ko bhar jana tha

Maan leta hon tujhe hi manzil
Ab kahaan yaad kidhar jana tha

Hausle ham ne bachakar rakkhe
Jab hamein had se guzar jana tha

Jaan !!! is hijar pe rona kaisa
Ek din yun bhi to mar jana tha

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai