Bheer main aik ajnabi ka saamna accha laga Sab se chup kar woh kisi ka dekhna accha laga


Bheer main aik ajnabi ka saamna accha laga
Sab se chup kar woh kisi ka dekhna accha laga

Surmae ankhon k neechay phool se khilne lage
Kehte kehte,kisi ka sochna accha laga

Baat to kuch bhi nahi thi lekin uska aik dum
Haath honton par rakh kar rokna accha laga

Dil main kitne ahed baandhe the bhulane k usne
Woh mila to sab irade torna accha laga

Chae main cheeni milana us ghari accha laga
Zair-e-lab wo muskurata ‘shukriya’ accha laga

Is ada-e-jan ko main bura kaise kahon
Jab bhi aya saamne woh bewafa accha laga

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai