dil bhi karta hai yad chup ke tujhe naam leti nahin zuban tera



dil bhi karta hai yad chup ke tujhe
naam leti nahin zuban tera
kis se poochon ga mein khabar teri
kon batlaye ga nishan tera
Teri ruswayon se darta hon
 jab tere shehar se guzarta hoon

Hal-e-dil bhi na keh saka garchey
tu rahi mudat kareeb mere
tu mujhey chorr kar chali hi gaye
khair kismat meri naseeb mere
ab mein kiyon tujh ko yaad karta hoon
jab tere shehar se guzarta hoon

wo zamana teri mohabbat ka
ik bholi hui kahani hai
kis tamanna se tujh ko chaha tha
kis mohabbat se haar mani hai
apni kismat pe naaz karta hoon
jab tere shehar se guzarta hoon

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai