Dil ishq mein bepaayaan, sauda ho to aisa ho Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho



Dil ishq mein bepaayaan, sauda ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho

Ham se nahin rishta bhi, ham se nahin milta bhi
Hai paas wo baitha bhi, dhoka ho to aisa ho

Wo bhi raha ba-gaana, ham ne bhi na pehchaana
Haan ay dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho

Hum ne yahi maanga tha, us ne yahi bakhshaa hai
Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho

Is daur mein kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi
Kaanta ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho

Ay Qais junoon paisha, Insha ko kabhi dekha?
Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho

 Ibn e Insha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo