Dil munafiq tha shab-e-hijar mein soya kaisa Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa



Dil munafiq tha shab-e-hijar mein soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa
Zindagi mein bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawaab dar khawab tere gham ko piroya kaisa
Ab to chehron pe bhi katbuo’n ka gumaan hota hai
Aankhain pattahre hui hain lab-e-goya kaisa
Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage
Hijar hi hijar maraasim mein samoya kaisa
Aik aansoo tha ke dariya-e-nidaamat tha "FARAZ"
Dil se baibaak shanawar ko daboya kaisa

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo