Log Kehty Hain Pagasl Hon Main Jahan Ki Khushi Se Ghafil Hon Main


لوگ کہتے ہیں..... پاگل ھوں میں
جہاں کی خوشی سے غافل ھوں میں
****
لوگوں کو کیا پتا کیا خبر
اندر سے کتنا, گھائل ھوں میں
****
راتوں کی ننیدیں حرام ھیں
غمِ شب کا حاصل ھوں میں
****
سوچتا ھوں جہاں میں آیا,کیوں ؟
شاید کسی کے قابل ھوں میں
****
برسنے کے لئے جو تڑپتا ھے
آسمان کا ایسا بادل ھوں میں
****
شیخ اسلم آزاد
Log Kehty Hain Pagasl Hon Main
Jahan Ki Khushi Se Ghafil Hon Main
****
Logo Ko Kia Pata Kia Khabar
Andar Se Kitna,Ghail Hon Main
****
Raton Ki Neendein Haram Hain
Gham-e-Shab Ka Hasil Hon Main
****
Sochta Hon Jahan Mein Aaya Kion?
Shaid Kisi Ke Qabil Hon Main
****
Barasnay Ke Liye Jo Tadapta Hai
Asman Ka Aisa Badal Hon Main
****
Sheikh Aslam Azad

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha