Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai


Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai

Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai
Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke
Ek shks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai

Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo