Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange Dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maange


Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange
Dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maange
Hum na hotay to kisi aur ke charchay hotay
Khalqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maange
Yeh-hi dil tha keh tarasta tha maraasim ke lya
Ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maange
Zindagi hum tere daghoon se rahe sharminda
Aur tu hai keh sada aina khaanay maange
Dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
Mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maange

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo