Teri khushbo nahin milti,tera lehja nahin milta hamein to shaher main koi,teray jesa nahin milta


Teri khushbo nahin milti,tera lehja nahin milta
hamein to shaher main koi,teray jesa nahin milta
ye kesi dhund main,hm tum,safar ka aghaz kr bethay
tumhen aankhein nahin miltein,hamein chehra nahin milta
bhala us k dukhon ki raat ka,koi madawa hai?
wo maan jisko kabhi,khoya huwa bachha nahin milta
zamanay ko,qareenay se wo apnay sath rakhta hai
magar meray liye usko,koi lamha nahin milta
musafat main dua-e-abr un ka saath deti hai
jinhein sahra k daman main,koi drya nahin milta
jahan zulmat,ragon main apnay panjay gaar deti hai
usi tareek rastay par,dya jalta nahin milta
Noshi Gilani

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai