teri umeed tera intzaar jab se hai na shab ko din se shikayat,na din ko shab se hai


teri umeed tera intzaar jab se hai
na shab ko din se shikayat,na din ko shab se hai
kisi ka dard ho kartey hein tere naam rakam
gila hai jo kisi se tere sabab se hai
hua hai jab se dil-e-nasaboor be kaboo
kalam tujh se nazar ko bare adab se hai
agar sharar hai to bharke,jo phool hai to khiley
tarhan tarhan ki talab,tere rang-e-lab se hai
kahan gaye shab-e-furqat ke jagney waley
sitara-e-sehri hum kalam kab se hai
Faiz

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo