Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia


Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia
bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia
tum mauj mauj misl e saba ghoomtay raho
kt jaen meri soch k par,tum ko is se kia
auron k haath thaamo,unhen rasta dikhao
man bhool jaoon apna hi ghar,tum ko is se kia
abr e gurez pa ko barasnay se kia garz
seepi main bn na pae gohar,tum ko is se kia
le jaen mujhko maal e ganimat k sath adu
tum ne to daal di ha sapar,tum ko is se kia
tum ne to thak k dasht main khaimay laga liae
tanha katay kisi ka safar,tum ko is se kia

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai