Tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare Tujh ko tera naseeb rulaye Khuda kare


Tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare
Tujh ko tera naseeb rulaye Khuda kare

Raton mein tujh ko neend na aye Khuda kare
Tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare

Aye bahar tere gulistan mein bar bar
Tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare

Meri tarah tujhe bhi jawani mein gham mile
Tera na koi sath nibhaye Khuda kare

Manzil kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake
Tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare

Tujh par shab-e-wisal ki raten haram hon
Shammein jala jala k bujhaye Khuda kare

Ho jayen bad-duaen meri dosto ghalat
Ab un pe koi harf na aye Khuda kare

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha