Waqt bas rengta hai umr ke saath taara taara gina hai umr ke saath


Waqt bas rengta hai umr ke saath
taara taara gina hai umr ke saath

kitna asan sa ta'alluq tha
kitna mushkil hua hai umr ke saath

phir safar naam hai aziyyat ka
rasta hanpta hai umr ke saath

kis ki aankhon ko neend chubhti hai
kaun jaaga raha hai umr ke saath

jaane aram aae ga kab tak
dard bahne laga hai umr ke saath

ik gunah tha chhupae rakkha tha
samne aa gaya hai umr ke saath

zindagi zindagi nahin lagti
koi dhoka hua hai umr ke saath

subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak
ek mahshar bapa hai umr ke saath

kaisa chehra hai raat ki tafsil
kaun jal kar bujha hai umr ke saath

Yasmin Habib

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha