Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha Ab kiss se kahein koi hamara bhi kabhi tha


Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha
Ab kiss se kahein koi hamara bhi kabhi tha
Utra hai rag-o-pey main to dil katt sa geya hai
Yeh zeher-e-judaayi ke gawara bhi kabhi tha
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha
Titlii ke taaqub mein koi phool sa bacha
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha
Ab agley zamaney ke milain log to poochain
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha
Har bazm main hum ne usey afsurda hi dekha
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa bhi kabhi tha

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha