Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna


Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna
Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna

Kehna k samundar k kinare pe na jaye
Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna

Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti
Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna

Kuch log safar k liye mouzu nahi hote
Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna

Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona
K basti k sabhi log hain behray usay kehna

phir waqt k maktal me sajhti hain woh aankhein
jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai