Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar mein bhi thehray usay kehna
Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna
Ek pal mery ghar mein bhi thehray usay kehna
Kehna k samundar k kinare pe na jaye
Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna
Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti
Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna
Kuch log safar k lyie mouzu nahi hote
Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna
Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona
K basti k sabhi log hain behray usay kehna

Phir waqt k maktal mein sajhti hain woh aankhein
Jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna
Comments
Post a Comment