Ye barishen bhi tum si hain jo baras gaeen, to bahaar hain jo tehar gaeen to qarar hain


.......YE BARISHEN..............
Ye barishen bhi tum si hain
jo baras gaeen,
to bahaar hain
jo tehar gaeen
to qarar hain
kabhi aa gaeen yunhi besabab
kabhi chaa gaeen
yunhi roz o shab
kabhi shor hain
kabhi chup si hain 
ye barishen bhi,tum si hain
kisi yaad main
kisi raat ko
ik dabi hui si raakh ko
kabhi yun hua
k bhuja dia
kabhi khud se khud ko
jalaa dia
kaheen boond boond main gum si hain
YE BAARISHEN BHI,,,,,,,,,,,TUM SI HAIN

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai