Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey har phool fasl-e-gul main purana laga mujhey


Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey
har phool fasl-e-gul main purana laga mujhey

main kya kisi pe sang utthaney ki sochta
apna hi jism aaina khana laga mujhey

ay dost jhoot aam tha dunya main iss qadar
tuney bhi sach kaha to fasana laga mujhey

abb usko kho raha hoon barhey ishtiyaq se
wo jisko dhondhne main zamana laga mujhey

Mohsin hujom-e-yaas main marne ka shok bhi
jeeney ka ik haseen bahana laga mujhey

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai