ada-e-ishq hon pori ana ke sath hon main hud apne sath hon yani khuda ke sath hon main



ada-e-ishq hon pori ana ke sath hon main
hud apne sath hon yani khuda ke sath hon main

mujawaran-e-hawas tang hain ki yon kaise
baghair sharm-o-haya bhi haya ke sath hon main

safar shuro to hone de apne sath mera
tu Khud kahega ye kaisi bala ke sath hon main

main chhu gaya to tera rang kaat dalunga
so apne aap se tujh ko bacha ke sath hon main

durud-bar-dil-e-wahshi salam-bar-tap-e-ishq
Khud apni hamd Khud apni sana ke sath hon main

yahi to farq hai mere aur un ke hal ke biich
shikayatein hain unhein aur raza ke sath hon main

main awwaleen ki izzat mein aakhireen ka nor
wo intiha hon ki har ibtida ke sath hon main

dikhai don bhi to kaise sunai don bhi to kyun
wara-e-naqsh-o-nawa hon fana ke sath hon main

ba-hukm-e-yar lawen qabz karne aati hai
bujha rahi hai? bujhae hawa ke sath hon main

ye sabireen-e-mohabbat ye kashifeen-e-junon
inhi ke sang inhin auliya ke sath hon main

kisi ke sath nahin hon magar jamal-e-ilaha
teri qism tere har mubtala ke sath hon main

zamane bhar ko pata hai main kis tariq pe hon
sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke sath hon main

munafiqeen-e-tasawwuf ki maut hon main "ALI"
har ek aseel har ek be-riya ke sath hon main

Ali Zaryoun

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo