Bichhde hue yaaron ki sada Q nhii aati?? Ab roozan-e-zindaa'n se hawa Q nhii aati??



Bichhde hue yaaron ki sada Q nhii aati??
Ab roozan-e-zindaa'n se hawa Q nhii aati??
.
Tu ab bhi salaamat hai safar me to musaafir
Tere liye honton pe dua Q nhii aati??
.
Patthar ho to Q khauf-e-shab-e-gham se ho larzaan??
Insaan ho to jeene ki adaa Q nhii aati??
.
Ek ped k saaye se hawa poochh rahi hai
Ab dasht me makhlooq-e-KHUDA Q nhii aati??
.
Chehron pe wo sarson ki dhanak kya hui yaaron??
Hathon se wo khushbu-e-hina Q nhii aati??
.
Bastii k sabhi log salaamat hain to MOHSIN
Aawaaz koi apne siwa Q nhii aati??

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo