Boseeda puraane kisi saamaan mein rakh de Ya phir kisi toote hue guldaan mein rakh de



Boseeda puraane kisi saamaan mein rakh de
Ya phir kisi toote hue guldaan mein rakh de

Chaahat k charaaghon ko to jalna hai jalenge
Tu unko utha kr bhale toofaan mein rakh de

Qadmon mein tere masle hue phool nahi hain
Chaahat ki chitaa hain kisi shamshaan mein rakh de

Saansein na chuka payi hon qeemat jo wafa ki
Ab jism ki matti ko bhi taawaan mein rakh de
MOHSIN tere jazbaat yahan kon sunega
Be-rabtt khayalaat ko deewaan mein rakh de

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo