Dar-e-qafas se parey jab sabaa guzarti hai Kise khabar k aseero'n pe kya guzarti hai



Dar-e-qafas se parey jab sabaa guzarti hai
Kise khabar k aseero'n pe kya guzarti hai
.
Ta'alluqaat kabhi is qadar na toote the
K teri yaad bhi dil se khafaa guzarti hai
.
Wo ab mile bhi to milta hai is tarah jaise
Bujhe charagh ko chhu kr hawaa guzarti hai
.
Faqeer kab k gaye jungalo'n ki simt magar
Galii se aaj bhi unki sadaa guzarti hai
.
Ye ahl-e-hijr ki basti hai ehtiyaat se chal
Museebato'n ki yahan intehaa guzarti hai
.
Bhanwar se bach to gayin kashtiya'n magar ab k
Dilo'n ki khair,, k mauj-e-balaa guzarti hai
.
Na poochh apni anaa ki baghawate'n MOHSIN
Dar-e-Qubool se bach kr Duaa guzarti ha

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai