Kathan Safar hai Muhabbato'n ka, Saraab Rastay hain Soch lena Woh Chorr jaqtay hain Ek Qadam par jo saqth chaltay hain Soch lena



Kathan Safar hai Muhabbato'n ka, Saraab Rastay hain Soch lena
Woh Chorr jaqtay hain Ek Qadam par jo saqth chaltay hain Soch lena

Yeh Reet tum na nibah sako gay, na Sung Rehnay ki Baat karna
Keh Ishaq waalo'n ki Reh-guzar men Chanaab aatay hain Soch lena

Tumhen kaha tha keh Ban kay apna, Fareb deta hai yeh Zamana
Tumhen kaha tha keh Aasteeno'n men Saanp paltay hain Soch lena

Woh Basti jahaan pau hum-tum milay thay, mil kay Bicharr gaye thay
Wahaan pau ab bhi meri Wafa kay Chiraagh Jaltay hain Soch lena

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha

Kisi Bashar Mein Hazar Khami Agar Jo Dekho Tou Chup Hi Rehna