Hai Tera Gaal Maal Bose Ka Kion Na Keeje Sawaal Bose Ka



Hai Tera Gaal Maal Bose Ka
Kion Na Keeje Sawaal Bose Ka

Munh Lagate Hi Hont Par Tere
Pad Gaya Naqsh Laal Bose Ka

Zulf Kehti Hai Us Ke Mukhde Par
Ham Ne Maara Hai Jaal Bose Ka

Subah Rukhsaar Us Ke Neele Thy
Shab Jo Guzra Khayaal Bose Ka

Ankhiyaan Surkh Ho Gaeen Chat Se
Dekh Leeje Kamaal Bose Ka

Jaan Nikle Hai Aor Miyan De Daal
Aaj Wada Na Taal Bose Ka

Galiyaan Aap Shauq Se Deeje
Rafa Keeje Malaal Bose Ka

Hai Ye Taaza Shagufa Aur Suno
Phool Laya Nihaal Bose Ka

Aks Se Aaine Mein Kehta Hai
Khench Kar Infial Bose Ka

Barg-e-Gul Se Jo Cheez Nazuk Hai
Waan Kahan Ehtemaal Bose Ka

Dekh Insha Ne Kia Kiya Hai Qahr
Mutahammil Ye Gaal Bose Ka

Insha Khan Insha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo