Nahi darta main kaanton se magar pholon se darta hon Chubhan de jain jo dil ko main un kaanton se darta hon



Nahi darta main kaanton se magar pholon se darta hon
Chubhan de jain jo dil ko main un kaanton se darta hon

Ana ka main nahi qaael,muhabbat hai mujhe sab se
Jo dil mein bughaz rakhtay hain,main un apnon se darta hon

Mujhe toh neend bhi achhi nahi lagti haqeeqat mein
Dekhaen khuwaab jo jhotay,main un neendon se darta hon

Mujhe ihsaas hai sab ka,main sab ke kaam aata hon
Magar jo keena rakhtay hain,main un reshton se dartas hon

Main banda hon ALLAH ka,aor ALLAH ka khouf hai mujh mein
Jo dartay hi nahi rab se,main un bandon se darta hon

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai