Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawaani Aai Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai


Image may contain: one or more people and close-up

Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawaani Aai
Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahani Aai

Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bechhadtay Dekha
Aaj Phir Yaad Koi Chhot Purani Aai

Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu
Muddaton Baad Hamein Baat Banani Aai

Muddaton Baad Pasheman Hoa Dariya Hum Se
Muddaton Baad Hamein Piyaas Chhupani Aai

Muddaton Baad Khuli Wus'at-e-Sahra Hum Par
Muddaton Baad Hamein Khaak Udani Aai

Muddaton Baad Muyassar Hoa Maan Ka Anchal
Muddaton Baad Hamein Neend Suhani Aai

Itni Aasani Se Milti Nahi Fan Ki Daulat
Dhal Gai Umar Tou Ghazlon Pe Jawaani Aai

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai