Jahan Hujatain Wahan Hijaab Kis Liye Jahan Chahatain Wahan Naqaab Kis Liye
" غزل "
شیخ اسلم آزاد
Sheikh Aslam Azad
جہاں حجتیں وہاں حجاب کس لئے
جہاں چاہتیں وہاں نقاب کس لئے
Jahan Hujatain Wahan Hijaab Kis Liye
Jahan Chahatain Wahan Naqaab Kis Liye
پوچھا ہے کسی نے سوال یہ مجھ سے
جہاں عذاب ہیں وہاں خواب کس لئے
Poocha Hai Kisi Ne Sawaal Ye Mujh Se
Jahan Azaab Hain Wahan Khuwaab Kis Liye
جو چلتے نہیں اپنی تحریروں پر, پھر
چھپتے ہیں ان کے کتاب کس لئے
Jo Chaltay Nahi Apni Tahreeron Par,Phir
Chaptay Hain Unke Kitaab Kis Liye
کسی کو کسی پر فوقیت نہیں گر
ہیں پھر یہ وڈیرے, نواب کس لئے
Kisi Ko Kisi Par Foqiyat Nahi Gar
Hain Phir Ye Waderay,Nawaab Kis Liye
جو جانتے ہیں درسِ انسانی "اے آزاد
ان کے لئے جنتیں اور ثواب کس لئے
Jo Jantay Hain Dars-e-Insaani "Ay AZAD"
Unke Liye Jannatain Aur Sawaab Kis Liye
Comments
Post a Comment