Rind-e-kharaab-haal ko zahid na chedh tu Tujh ko paraaii kya padhi apni nabedh tu



Rind-e-kharaab-haal ko zahid na chedh tu
Tujh ko paraaii kya padhi apni nabedh tu

Chuut'taa hai kaun mar ke griftaar-e-dam-e-zulf
Turbat pe uss ki jaal ka paayega pedh tu

Ay zahid-e-do-rang na peer aap ko banaa
Manind-e-subh-e-kazib abhee hai adedh tu

Awargi se ku-e-mohabbat ki haath utha
Ay ZAUQ yeh utha na sakega khakhed tu

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo