Gali men dard kay purzay talash karti thi Meray khatoot kay tukrray talash karti thi


Image may contain: 1 person, close-up

Gali men dard kay purzay talash karti thi
Meray khatoot kay tukrray talash karti thi
Bhulaaye kon aziyat pasandiyan us ki
Khushi kay dhair men sadmay talash karti thi
Ajab hijar parasti thi us ki fitrat men
Shajar kay tootay pattay talash karti thi
Qayaam karti thi woh mujh men soofiyon ki tarah
Udaas rooh kay goshay talash karti thi
Tamaam raat woh parday hata kay chaand kay saath
Jo kho gaye thay woh lamhay talash karti thi
Kuch is liye bhi meray ghar say us ko thi wehshat
Yahaan bhi apnay hi piyare talash karti thi
Ghuma phira kay judai ki baat karti thi
Hamesha hijar kay harbay talash karti thi
Tamaam raat woh zakhma kay apni poron ko
Meray wajood kay raaz talash karti thi
Duaayen karti thi ujrray huye mazaaron par
Barray ajeeb sahaaray talash karti thi
Mujhay to aaj bataaya hai baadlon nay WASI
Woh laut aanay kay raastay talash karti thi

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai