kisi ki aankh men masti to aaj bhi hai wahi magar kabhi jo hamen tha khumaar jaata raha



کسی کی آنکھ میں مستی تو آج بھی ہے وہی
مگر کبھی جو ہمیں تھا خمار جاتا ر ہا
किसी की आँख में मस्ती तो आज भी है वही
मगर कभी जो हमें था ख़ुमार, जाता रहा

khula hai dar pa tira intizaar jaata raha
khuloos to hai magar e'tibar jaata raha

kisi ki aankh men masti to aaj bhi hai wahi
magar kabhi jo hamen tha khumaar jaata raha

kabhi jo seene men ik aag thi wo sard hui
kabhi nigaah mein jo tha sharar jaata raha

ajab sa chain tha ham ko ki jab the ham bechain
qaraar aaya to jaise qaraar jaata raha

kabhi to meri bhi sunwaai hogi mahfil mein
main ye umeed liye baar baar jaata raha

javed akhtar

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai