Shaam-e-firaaq ab na poochh aaii aur aa kay tal gaii Dil tha keh phir behal gaya jaan thi keh phir sambhal gaii



Shaam-e-firaaq ab na poochh aaii aur aa kay tal gaii
Dil tha keh phir behal gaya jaan thi keh phir sambhal gaii

Bazm-e-khayaal men teray husn kii shamaa jal gaii
Dard kaa chaand bujh gaya hijr kii raat dhal gaii

Jab tujhay yaad kar liya subah mehak mehak uthii
Jab tera gham jaga liya raat machal machal gaii

Dil say to her muaa'malaa kar kay chalay thay saaf hum
Kehnay men un kay saamnay baat badal badal gaii

Aakhir-e-shab kay ham-safar 'Faiz' na jaanay kya huye
Reh gaii kis jagah saba subah kidhar nikal gaii

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo