Sookhay hont, sulagti aankhen sarson jesa rang Barson baad wo dekh kay mujh ko reh jaaye ga dang
Sookhay hont, sulagti aankhen
sarson jesa rang
Barson baad wo dekh kay mujh ko
reh jaaye ga dang
Maazi ka wo lamha mujh ko aaj
bhi khoon rulaaye
Ukhri ukhri baaten us ki, ghairon
jesay dhang
Taara ban kar door ufaq par
kaanpay, larzay, dolay
Kachi dor say urnay wali dekho aik
patang
Dil ko to pehlay he dard ki deemak
chaat gai thi
Rooh ko bhi ab khata jaaye tanhai
ka zang
Un he kay sadqay ya rab meri mushkil
kar aasaan
Meray jesay aur bhi hain jo dil kay
haathon tang
Sab kuch day kar hans di aur phir kehnay
lagi taqdeer
Kabhi na poori ho gi teray dil ki
aik umang
Shabnam koi jo tujh say haaray, jeet pay maan
na karna
Jeet woh ho gi jab jeeto gi apnay aap
say jang
Comments
Post a Comment