Tere qareeb jane ki chahat hi bahot thi Ki haal a Dil sunane ki hasrat hi bahot thi



Tere qareeb jane ki chahat hi bahot thi
Ki haal a Dil sunane ki hasrat hi bahot thi
Wo shqss yun gaya ki meri jaan le gaya
Jis se mere wajood ki qurbat hi bahot thi 
Ek PHOOL sare bagh ko veeran kar gaya
Gulshan ko uss gulaab ki aadat hi bahot thi
Phir mehfilon me jane ki hajat nahi rahi
Mujh ko tere khyaal ki sohbat hi bahot thi
MUJH KO SUNE BAGHAIR WO YUN HI CHAL DIYA
Shayad use bicharrne ki ujlatt hi bahot thi
Zulfiqar Arshad Zakī

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo