Bikharta Jism Meri Jaan , Kitab Kia Hoga? Tumhare Naam Se Ab Intesaab Kia Hoga?



ﺑﮑﮭﺮﺗﺎ ﺟﺴﻢ ﻣﯿﺮﯼ ﺟﺎﮞ، ﮐﺘﺎﺏ ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ؟
ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﻧﺎﻡ ﺳﮯ ﺍﺏ ﺍﻧﺘﺴﺎﺏ، ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ؟

ﺗﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﻧﯿﻨﺪ، ﺑﮭﺮﮮ ﺷﮩﺮ ﻣﯿﮟ ﺗﻼﺵ ﮐﺮﻭ
ﺟﻮ ﺁﻧﮑﮫ ﺭﺍﮐﮫ ﮬﻮﺋﯽ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺍﺏ ﮐﯿﺎﮬﻮﮔﺎ؟

ﻭﮦ ﻣﯿﺮﯼ ﺗﮩﻤﺘﯿﮟ ﺍﭘﻨﮯ ﺑﺪﻥ ﭘﮧ ﮐﯿﻮﮞ ﺍﻭﮌﮬﮯ
ﻣﯿﺮﮮ ﮔﻨﺎﮦ ﮐﺎ ﺍﺱ ﮐﻮ ﺛﻮﺍﺏ ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ؟

ﮨﻮﺍ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻣﺴﺎﻓﺖ، ﺯﻣﯿﮟ ﭘﮧ ﻣﯿﺮﺍ ﺳﻔﺮ
ﻭﮦ ﺷﮩﺴﻮﺍﺭ، ﻣﯿﺮﺍ ﮨﻤﺮﮐﺎﺏ ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ ؟

ﺍﺳﮯﮔﻨﻮﺍ ﮐﮯﻣﯿﮟ ﺍﺏ ﮐﺲ ﮐﮯ ﺧﺪﻭﺧﺎﻝ ﭘﮍﮬﻮﮞ
ﺍﺏ ﺍﺱ ﺳﮯ ﺑﮍﮪ ﮐﺮ ﻣﯿﺮﺍ ﺍﻧﺘﺨﺎﺏ، ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ؟

ﻣﻠﮯ ﮔﺎ ﮈﻭﺑﻨﮯ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﮐﻮ ﺍﺟﺮ، ﺟﻮ ﺑﮭﯽ ﻣﻠﮯ
ﺳﻤﻨﺪﺭﻭﮞ ﮐﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﺣﺘﺴﺎﺏ، ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ؟

ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺑﻌﺪ ﮨﻤﯿﮟ ﯾﺎﺩ ﮐﯿﻮﮞ ﮐﺮﮮ ﮔﺎ ﮐﻮﺋﯽ؟
ﮨﻮﺍ ﮐﺎ ﻧﻘﺶ ﺳﺮِ ﺳﻄﺢِ ﺁﺏ، ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ ؟

ﺑﮑﮭﺮﺗﮯ ﭨﻮﭨﺘﮯ " ﻣﺤﺴﻦ " ﮐﻮ ﺍﻭﺭ ﮐﯿﺎ ﮐﮩﻨﺎ
ﺧﺮﺍﺏ ، ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺧﺎﻧﮧ ﺧﺮﺍﺏ ﮐﯿﺎ ﮬﻮ ﮔﺎ ؟

ﻣﺤﺴﻦ ﻧﻘﻮﯼ
 
Bikharta Jism Meri Jaan , Kitab Kia Hoga?
Tumhare Naam Se Ab Intesaab Kia Hoga?

Tum Apne Neend Bhare Shehr Mein Talaash Karo
Jo Aankh Raakh Hoi Us Mein Khuwaab Kia Hoga?

Woh Meri Tuhmatein Apne Badan Pe Kion Udhey
Mere Gunah Ka Us Ko Sawaab Kia Hoga?

Hawa Mein Uski Musafat,Zameen Pe Mera Safar
Woh Shahsawaar , Mera Humrakaab Kia Hoga?

Ussay Ganwa Ke Main Ab Kis Ke Khadukhaal Parhon
Ab Is Se Barh Ke Mera Intekhaab, Kia Hoga?

Mily Ga Doobnay Walo Ko Ajar , Jo Bhi Milay
Samandaron Ka Magar Ihtesaab , Kia Hoga?

Hamare Baad Hamein Yaad Kion Kare Ga Koi?
Hawa Ka Naqsh Sar-e-Satah-e-Aab,Kia Hoga?

Bikhartay Tootay "MOHSIN" Ko Aur Kia Kehna
Kharaab , Aur Woh Khanakharaab Kia Hoga?

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo