Dasht-e-Wafa Men Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha



Dasht-e-Wafa Men Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Sey Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pey Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aisi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pey Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Men Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ney Diya Tha Mujhay MOHSIN
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Yeh Mera Naseeb Tha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo