maine dekha hai ki phoolon se ladi shakhon me tum lachakti hui mere kareeb aayi ho


Image may contain: 1 person, ocean, water and outdoor

maine dekha hai ki phoolon se ladi shakhon me
tum lachakti hui mere kareeb aayi ho
jaise mudat se yun hi sath raha ho apna
jaise ab ki nahi sadiyon ki shahnayi ho
maine dekha hai ki gaate huye jharno ke kareeb
apne betabi-e-jajbaat kahi hai tumne
kampti hothon rukti huyi awaz ke saath
jo mere dil me thi wo baat kahi hai tumne
aanch dene laga kadmon ke tale braf ka farsh
aaj jana ki mohabbat mein hai garmi kitni
sang-e-marmar ki tarh skhat badan mein tere
aa gayi hai mere chho lene se narmi kitni
maine dekha hai ki kohare se bahri vadi me
main ye kahta hon ki aaj kahi kho jaye
mai ye kahti hon ke khone ki zarorat kya hai
odh kar dhund ki chadar ko yahin so jaye
Sahir Ludhianvi

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai