Kuch din say tera rang kahee'n jamm nahee'n raha lagta hai teri baato'n main ab damm nahee'n raha



Kuch din say tera rang kahee'n jamm nahee'n raha
lagta hai teri baato'n main ab damm nahee'n raha

sho'lo'n ka roop lay liya jab say hawaa'on nay
tab say mera mizaaj bhi shabnam nahee'n raha

zakhmo'n pay ab namak he chhirahk day ay chara'gar
gar teray ikhtiyaar main marham nahee'n raha

kal shab chamak damak main sitaro'n kay darmiyaa'n
yeh zarra e haqeer bhi kuch kam nahee'n raha

kuch dair aisay ro kay tabeeyat sambhal gayee
ab jaisay zindagi main koi gham nahee'n raha

main kya karoo'n NAEEM keh ab mera jazb e dil
manzil ki justajoo main kahee'n ka nahee'n raha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo