*Badal'te Waqt Kaa Ik Silsilaa Saa Lagtaa Hai Ki Jab Bhii Dekho Use Duusaraa Saa Lagtaa Hai


Image may contain: 1 person, close-up
Manzar Bhopali

*Badal'te Waqt Kaa Ik Silsilaa Saa Lagtaa Hai
Ki Jab Bhii Dekho Use Duusaraa Saa Lagtaa Hai
*Tumhaaraa Husn Kisii Aadamii Kaa Husn Nahii
Kisii Buzurg Kii Sachchii Duaa Saa Lagtaa Hai
*Terii Nigaah Ko Tamiiz Rang-o-Nuur Kahaa.N
Mujhe To Khuun Bhii Rang-e-Hinaa Saa Lagtaa Hai
*DamaaG-o-Dil Ho.N Agar Mutmayiin To Chhaao.N Hai
Dhuup Thapedaa Luu Kaa Bhii Thandii Hawaa Saa Lagtaa Hai
[mutmayiin = content/satisfied; luu = hot summer breeze]
*Wo Chhat Pe Aa Gayaa Betaab Ho ke Aakhir
Khudaa Bhii Aaj Shariik-e-Duaa Saa Lagtaa Hai
*Tumhaaraa Haath Jo Aayaa Hai Haath Me
mere Ab Aitabaar Kaa Mausam Haraa Saa Lagataa Hai
*Nikal Ke Dekho Kabhii Nafarato.N Ke Pinjare Se
Tamaam Shahar Kaa "Manzar" Khulaa Saa Lagtaa Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo