Gul-e-zubaan pe wahi sardiyon ka mosam hai tumhari 'haan' pe wahi sardiyon ka mosam hai



Gul-e-zubaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
tumhari 'haan' pe wahi sardiyon ka mosam hai
darkhat par khabhi jo choorriyon se daala tha
us aik nishaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
yeh aik hum keh naee boliyaan sada bolain
teri zubaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
sulg rahi hain dehan men qabaayen lafzon ki
magar zubasn pe wahi sardiyon ka mosam hai
tumharay aanay pe suraj kay haath chamkain gay
meray makaa'n pe wahi sardiyon ka mosam hai
har aik simt pighalnay lagay hain sannaatay
teray bayaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
jahaan jahaan teri khushbo kay rang bikhray hain
wahaan wahaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
teri judaai kay pal say hua hai ishq qanoot
keh is jahaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
woh 'haan' karay gi bahaaron men uska waada tha
us aik 'haan' pe wahi sardiyon ka mosam hai
woh mujh ko sonp gaya furqaten december men
darkhat-e-jaan pe wahi sardiyon ka mosam hai
hamaray lab to duaayen jalaaye rakhtay hain
par aasmaan pe wahi sardiyon ka mosam hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo