Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley



Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley

Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley

Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley

Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai