Aaj phir dard-o-gham ke dhaage mai Ham piro kar tere khayal ke phool



آج پھر درد و غم کے دھاگے میں
ہم پرو کر ترے خیال کے پھول
ترکِ الفت کے دشت سے چن کر
آشنائی کے ماہ و سال کے پھول
تیری دہلیز پر سجا آئے
پھر تری یاد پر چڑھا آئے
باندھ کر آرزو کے پلے میں
ہجر کی راکھ اور وصال کے پھول
فیض احمد فیض

Aaj phir dard-o-gham ke dhaage mai
Ham piro kar tere khayal ke phool
Tark-e-ulfat ke dasht se chun kar
Ashnayi ke mah-o-saal ke phool
Teri dehleez par saja aaye
phir teri yaad par chardha aaye
Baandh kar aarzo ke palle main
Hijr ki raakh aur wisaal ke phool
Faiz Ahmad Faiz
 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo