Ban jaon agr tum sii, tumhain kaisa lagay ga?
Har pal main rahon tum se khafa kaisa lagay ga?
Parrhtay ho mujhay tum jo namazon ki tarah se
Ho jaon agr tum se qaza kaisa lagay ga?
Tum pyaar main khud ko bhi mitanay pe ho raazi
Ban jaaye agr pyaar saza kaisa lagay ga?
Comments
Post a Comment