Aankhon se tera khuwaab nikala nahi gaya Aur dil se teray dard ka haala nahi gaya



Aankhon se tera khuwaab nikala nahi gaya
Aur dil se teray dard ka haala nahi gaya

Har simt khema zan thi zamanea main teergii
Dil se muhabbaton ka ujaala nahi gaya

Dil se jhalak gaya kabhi aankhon se beh gaya
Hum se tau tera dard sanbhaala nahi gaya

Ek umr ho chuki tujhay bichrray huye magar
Is zindagi se tera hawaala nahi gaya

Tu nay kaha tau teri tamanna he chorr di
Teri kisi bhi baat ko taala nahi gaya

phir yuun hua keh umr judaaii mein katt gaii
khud ko teray mizaaj mein dhaala nahi gaya

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha