Chalo phir dhoond lein hum Ussi masoom bachpan ko Unhi masoom khushiyon ko Unhi rangeen lamhon ko



Chalo phir dhoond lein hum
Ussi masoom bachpan ko
Unhi masoom khushiyon ko
Unhi rangeen lamhon ko
Jahan gham ka pata na tha
Jahan dukh ki samajh na thi
Jahan bas muskurahat thi
Bahaarein hi bahaarein thi
Chalo phir dhoond lein hum
Ussi masoom bachpan ko
Keh jab saawan barasta tha
Toh uss kaaghaz ki kashti ko
Banana aur daboo dena
Bahut acchha sa lagta tha
Aur iss duniya ka har chehra
Bahut saccha sa lagta tha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo