Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua Ab Kya Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua



Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kya Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Waqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua
Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabbat Ko Waar Dain
Is Aashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua
Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka
Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Hua
Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil
Ai Yaad-e-yaar Tera Thikaana Bohat Hua
Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo
Phir Kya Tha Ek Huu Ka Bahaana Bahut Hua
Lo Phir Tire Labon Pe Usi Bewafa Ka Zikr
Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kaha Na Bohat Hua

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha