Koi Laa Sako To Laao Mera Wo Haseen Zamaana Jise Main Ne Kuchh Na Samajha Jise Main Ne Kuchh Na Jaana



"Nazeer Banarasi"
25 Nov 1909 Banaras U.P
23 March 1996 Banaras U.P. India
Pen name- Nazeer


 Koi Laa Sako To Laao Mera Wo Haseen Zamaana
Jise Main Ne Kuchh Na Samajha Jise Main Ne Kuchh Na Jaana
 
Mujhe Gham Nahen Hai Is Ka Ki Badal Gaya Zamaana
Meri Zindagi Ke Maalik Kahen Tum Badal Na Jaana
 
Mere Paas Waqt Thoda Mere Waaqyaat Lambe
Kahaan Sar-Guzasht Apani Na Suno Mera Fasaana
Waqyaat = Incident; Sar-Guzasht = Account/story
 
Mujhe Yaad Aaj Bhi Hai Jo Karam Hua Hai Mujh Pe
Mera Gham Abhi Hai Taaza Mere Saamane Na Aana
 
Ye Andheri Raat Mein Tum Kahaan Ja Rahe Ho Tanha
Na Tumhaari Raah Roke Kahen Be-Adab Zamaana
Be-Adab = Ill-Mannered
 
Jahaan Thahare Qalb-E-Muztar Wo "Nazeer" Meri Manzil
Jahaan Rok Ke Saans Le Loon Wahen Ab Mera Thikaana
Qalb-E-Muztar = Restless Heart

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai