Main Nafrato K Jehan Mein Reh Kar Juda Rahon Ga Tou Kia Karon Ga Ye Theek Kehtay Ho Be-Wafa Hon Wafa Karon Ga Tou Kia Karon Ga



میں نفرتوں کے جہاں میں رہ کر
جُدا رھُوں گا تو کیا کروں گا
یہ ٹھِیک کَہتے ھو ، بے وفا ھُوں
وَفا کروں گا ، تو کیا کروں گا

بس اَیک تُو ھی تو رہ گَیا ھے
جہاں سارا تو کھو چکا ھُوں
تُجھے بھی اپنی اَنا میں آ کر
خفا کرُوں گا ، تو کیا کروں گا

ھزار سجدے تو کر چُکا ھُوں
قَضا تُمہاری محبتوں میں
مَیں اَب دِکھاوے کا کوئی سَجدہ
اَدا کَرُوں گا ، تو کیا کروں گا

بغیر پانی بھی کوئی مَچھلی
بھلا کبھی رہ سَکی ھے زندہ
مَیں تُجھ کو کھو کر، کِسی کا ھو کر
بتا کروں گا ، تو کیا کروں گا
مُحسن نقوی
Main Nafrato K Jehan Mein Reh Kar
Juda Rahon Ga Tou Kia Karon Ga
Ye Theek Kehtay Ho Be-Wafa Hon
Wafa Karon Ga Tou Kia Karon Ga

Bas Aik Tu Hi Tou Reh Gaya Hai
Jahan Saara To Kho Chuka Hon
Tujhe Bhi Apni Ana Mein Aa Kar
Khafa Karon Tou Kia Karon Ga

Hazaar Sajdy Tou Kar Chuka Hon
Qaza Tuhari Muhabbato Mein
Main Ab Dekhawey Ka Koi Sajda
Ada Karon Ga Tou Kia Karon Ga

Baghair Paani Bhi Koi Machli
Bhala Reh Saki Hai Zinda
Main Tujh Ko Kho Kar Kisi Ka Ho Kar
Bata Karon Ga Tou Kia Karon Ga
Mohsin Naqvi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai