Angdai Bhi Woh Lene Na Paae Utha Ke Haath Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath
Angdai Bhi Woh Lene Na Paae Utha Ke Haath
Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath
Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath
Be-Sakhta Nigahein Jo Aapas Mein Mil Gaeen
Kia Munh Par Us Ne Rakh Liye Aankhein Chura Ke Haath
Ye Bhi Naya Sitam Hai Hina Tou Lagaen Ghair
Aur Us Ki Daad Chahen Woh Mujh Ko Dekha Ke Haath
Be-Ikhtiyar Ho Ke Jo Main Paanv Par Gira
Thodi Ke Neeche Us Ne Dhara Muskura Ke Haath
Gar Dil Ko Bas Mein Paaen Tou Naseh Teri Sunen
Apni Tou Mar-o-Zeest Hai Us Be-Wafa Ke Haath
Woh Zaanon Mein Seena Chupana Simat Ke Haae
Aur Phir Sambhalna Woh Dopatta Chuda Ke Haath
Qasid Tere Bayan Se Dil Aisa Thahar Gaya
Goya Kisi Ne Rakh Diya Seene Pe Aa Ke Haath
Ay Dil Kuch Aur Baat Ki Raghbat Na De Mujhe
Sunni Padengi Saikdon Us Ko Laga Haath
Woh Kuch Kisi Ka Keh Ke Satana Sada Mujhe
Woh Khinch Lena Parde Se Apna Dekha Ke Haath
Dekha Jo Kuch Ruka Mujhe Tou Kis Tapak Se
Gardan Mein Meri Daal Diye Aap Aa Ke Haath
Phir Kiyun Na Chaak Ho Jo Hain Zor-Aazmaiyan
Bandhunga Phir Dupate Se Us Be-Khata Ke Haath
Koche Se Tere Uthen Tou Phir Jaaen Hum Kahan
Baithe Hain Yaan Tou Donon Jahan Se Utha Ke Haath
Pehchana Phir Tou Kia Hi Nadamat Hoi Unhein
Pandit Samajh Ke Mujh Ko Aur Apna Dekha Ke Haath
Dena Woh Us Ka Saghar-e-Mai Yaad Hai "Nizam"
Munh Pher Kar Udhar Ko Idhar Ko Badha Ke Haath
Poet:Nizam Rampuri
Comments
Post a Comment